Tuesday 27 January 2015

Hazrat iMaM ALI as Ki Wiladat

Mola ALI as Ki Wiladat Ba-Saadat
Hazrat ALI as ki Wiladat 13 Rajab, Jumy K Din, "Aam Al-Feel" (Aam Al-Feel Wo Saal Jisme "Abraha" Hathion k Lashkar K Sath Kaaby Ko Toorny Aaya Tha) K 30ven Saal (Risalat K Ailan K 10 Saal Pehly) Kaaby Shareef Me Hoe.

Hazrat ALi as K Walid Ka Naam Imran Tha.Hazrat Imran Ko 4 Bety Thy.
1) Talib 2)Aqeel 3)Jaafar 4) ALi as

Janab_e_Imran "ABO TALIB" Ki Kuneyet Se Mashahor Thy. Kuch Tareekhdan Ne Hazrat Ali as K Walid Ka Naam "ABD MANAF" B Likha He Tafseel K Lye Kitab "Sharha ibn abi al Hadeed" J1,P11 Dekhen.Aap "Bani Hashim" Qabeely K Sardar Thy, or Aap ko "Makky" K Ba-Asar Logon Me Shumar Kia Jata Tha.

Hazrat ALi as Ki Walida Ka Naam "Fatima Bint Asad Bint Hashim Bint Abd Manaf" Tha.
BiBi Fatima Bint Asad Ko Kaaby K Tawaf K Doran Wiladat K Aasar Mehsos Hoe Is Lye Ap Mojzy Tor Kaaby K Andar Dakhil Hoen Jahan "Mola ALi as"Ki Wiladat Hoe.

Kaaby Me Ameer ul Momnin Hazrat ALi as Ki Wiladat Aam Shia Morkhen, Muhadiseen, or Ilm Insaab (Khandani Shajry K Ilm) K Danishwaron Ne B Apni Kitabon Me B Likha He.Kaaby Me Hazrat Ali as Ki Wiladat Ki Fazelat Or Kisi Ko B Hasil Nai He.

No comments:

Post a Comment