Wednesday 14 September 2016

Taqdeer-e-Hur as Qaseeda By Imtiaz

Qaseeda
Best qaseeda Recited By Imtiaz at Village Ghulam Muhammad Laghari







Wednesday 11 March 2015

HAZRAT ALI AS & NAMAZ IN URDU

HAZRAT ALI AS OR NAMAZ

دین اسلام مسلمانون کا دین ھے جس کا پھلا رکن "نماز" ھے۔نماز مسلمانون پر دن مین 5 وقت فرض کی گئ ھے۔ قیامت
 کہ دن سب اعمالون کا حساب کتاب نمازون کے بعد پوچھا جاۓگا۔

اسلام کے دفاع کے لیےاھلبیت ع-س کی قربانیان اک  بڑی مثال ھے۔جسے تا قیامت نھین بھلایا جا سکتا۔
آج ھم آپکو پھلے امام،امام المتقین، شیرے خدا حضرت علی علیہ السلام کا واقعہ بیان کر رھے ھین۔جس سے پتا چلتا ھے کہ اھلبیت کی نظر میں نماز کی اھمیت کیا ھے۔

امیر المؤمنین حضرت علی علیہ السلام صفّین کے معرکے میں تھے-جنگ پوری طرح زوروشور سے جاری تھی-دشمن کا لشکرمقابلے پر ڈٹا ھوا تھا اور ایسے ہی موقعے پر ایک مرتبہ آپؑ نے سورج کی جانب نگاھ اٹھائی-ابن عباس نے دریافت کیا:

"آپ سورج کی جانب کیون متوجہ ہین؟"

امیرالمئومنینؑ نے فرمایا:

"مین زوال کا وقت شناخت کرنا چاھتا ھون تاکہ نماز ظہر پڑھ سکون؟

ابن عباس نے کہا:
"کیا ایسی گھمسان کی جنگ کے موقع پر نماز پڑھی جا ئے گی۔؟

امامؑ نے فرمایا: "ہم ان لوگون سے کس بات پر جنگ کر رھے ھین؟ ھم ان سے اسی لیے تو برسرپیکار ھین تاکہ نماز قائم ھو سکے۔"

ابن عباس بیان کرتے ھین کہ امیر المئومنین حضرت علی علیہ السلام یے کبھی نمازے شب نہین چھوڑی-یہان تک کہ جنگِ صفَین مین سخت ترین موقعے پر یعنی "لیلۃ الحریر مین بھی آپؑ نے نماز شب ادا کی۔اور نماز ظہر تو پھر بھی واجب نماز تھی۔مولا 
اسکو کیسے چھوڑتے۔


(حوالہ: بکھرے موتی-جلد 1-پیج 240)

یے تو کچھ بھی نھین 19 رمضان کی فجر جب آپ مسجدِکوفہ مین نماز کہ لیے آئے تو ابن ملجم (اللہ پاک کی لعنت ہو اس پر) سویا ھوا تھا-اسکو مولا علی علیہ السلام نے جگایا کے اٹھہ کمبخت اپنا کام کر۔مولا کو پتا تھا کہ یے مجھے شھید کرنے آیا ھے پھر بھی اسے اٹھایا اس لیے کے آپ لوگون کو سمجھا سکین کہ نماز کی اھمیت کیا ھے۔آخر کار جب مولا علی جب نماز مین حالتِ سجدہ مین تھے تو اس لعنتی نے مولا پے وار کر کے آپکو زخمی کیا اور آپ 21 رمضان المبارک کو خالقِ حقیقی سے جا ملے اور شھادت کا جام پیا۔

قسم خدا کی علی آج کامیاب ھوا-
خدا کے گھر سے تھا آیا-خدا کے گھر سے گیا-

امید آپکو ھمارے آرٹیکل پسند آئینگے- مزید ھمارے اسلامک آرٹیکل پڑھنے کے لئے سبسکرائب اور کمنٹس ضرور کرین۔

Saturday 28 February 2015

islamic stories in urdu



HAZRAT MOOSA OR FIRON (PART 2)

Firon Ki Baar Baar Wada Khilafi Ki Waja Se Moosa as Ne Allah (J.J) Se Dua Ki Or Is Baar Allah j.j Ne Mandak Musalat Kiye.Unhone Firoon Or Uski Qoum K Gharoon Pr Hamla Kia.Manadak Unk Kapron, Khana or Pani Pr Charh Jaty Thy.Mandakon Ki Waja Se Unki Zindagi Ka Aaram Or Sukoon Khatam Hogaya. Firoon Ne Hazrat Moosa as Se Kaha K Allah Se Dua Kro Ye Azab Khatam Hojae. Me Bani Israel Ko Azad Kr Dounga.

Hazrat Moosa as Ne Dua Ki Azab Khatm Hogaya Magar Firon Ne Apna Wada Pora Krny Se Saaf Inkar Kr Dia.
Is K Baad Kuch Arsa Allah j.j Ne Koi Azab Nazil Na Kia Magar Wo Log Apni Galt Rawash Pr Qaim Rahy. Is K Baad Allah j.j Ne Ik Or Azab Nazil Kia.

Misar Par Barish Ka Aik Bhi Qatra Tak Na Barsa.Nehren Khushk Hogaen, Or Chashmoon Ka Pani Zair e Zameen Chala Gaya. Faslain Jal Gaen Or Pory Misar Me Qahat Chaa Gae. Firon Hazrat Moosa as K Pas Aaya Or Kaha K ALLAH j.j Se Dua Kro Khushk Sali Khatam Ho. Men Wada Krta Hon Bani Israel Ko Azad Krounga.

Hazrat Moosa as Ne Phir Allah j.j Se Dua Ki.Allah j.j Ne Barish Barsae Or Khushksali Khatam Hogae. Is K Baad Kae Saal Tak Khush Hali Rahy Magar Firon Ne Apna Wada Pora Na Kia.

Is K Baad Allah J.J Ne Zaala Bari Ka Azab Nazil Kia. Aasman Se Surkh Rang K Olay Barsae Jis Se Ahl e Sharik K Khait Or Faslain Jal Gae.

Phir Firon Ne Hazrat Moosa as Se Kaha K Ap Ye Azab Dour Kr Den Me Bani Israel Ko Azad Kr Dounga. Hazrat Moosa as Ne Dua Ki Azab Khatam Hogaya Magar Firon Ne Bani Israel Ko Azad Na Kia.

Hazrat Moosa as K Ailan e Nabowat Ko 40 SaaL Guzar Gae To Ap Firon Or Uski Qoum Se Mayous Hogae Or Khuda Se Dua Ki K Firoon Or Uski Qoum Dolat Ki Wajah Se Sarkash Hogae He Or Dolat Ki Wajah Se Bani Israel Ko Apna Ghulam Banaya Howa He. Ya Allah Inko Zaleel o Khuwar Kr Or Unki Dolat Ko Be Qamati Kr.

Allah Ne Hazrat Moosa as Ki Dua Qabool Ki Or Unk Sona, Chaandi Ko Pathron Me Tabdeel Kr Dia Or Hazrat Moosa as Se Kaha K Tum Bani Israel Ko Lekar Rat K Waqt Ye Mulk Chor Do.

Bani Israel Waly Darya e Neel K Pas Jama Hogae.Jb Firoon Ko Pata Chala To Wo Apny Lashkar Ko Lekar Darya e Neel Ki Tarf Barha. Bani Israel Khofzada Hogae Or Hazrat Moosa se Kaha K Pechy Dushman He Or Aagy Darya Hum To Marny Waly Hen.

Hazrat Moosa as Ne Kaha K Allah Ka Wada Bar Haq He Hum Khereyat Se Guzarengy.
Hazrat Yousha as Jo Hazrat Moosa as K Janasheen Thy Wo Aagy Barhy Or Pani Pr Chalny Lagy.Magar Kisi Or Ko Jurrat Na Hoe K Pani Pe Chal Saky.

Allah K Hukam Se Hazrat Moosa as Ne Apni ASA Darya Me Phenky Jis Se 12 Raasty Ban Gae Jis se Bani Israel K 12 Qabeely Guzarny Thy. Bani Israel Darya Me Utri To Firon B Apny Lashkar K Sath Darya Me Utra.

Bani Israel K Log Jb Darya Se Nikal Gae To Darya Ki Mojeen Aapus Me Mil Gaen. Firon Apny Lashkar Sameet Doob Gaya. Firon Ne Marty Waqt Tooba Ki Magar Uski Tooba Qabool Na Hoe.
Darya e Neel Ne Hukam e Khuda Se Firon Ka Jism Uchaal Diya Jo Aaj Tak Namonae Ibrat He.
(REF: Haqaaiq Minaal Qurain P160 TO 179.)

Thursday 26 February 2015

islamic stories in urdu



Hazrat Moosa or Firoon (Part 1)

Abrani Zuban Me “MOO” Pani Ko Kehty Hen,or “SA” Darakht Ko Kehty Hen. Kyn K Hazrat Moosa as Hazrat Bibi Aasiya sa Ko Pani or Darkht K Darmiyan Se Mily Thy, To Bibi Aasiya sa Ne Isi Nisbat Se Apka Naam “MOOSA” Rakha Tha.

Firon Ik Zalim Maghror, Or Sarkish Insaan Tha. Hazrat Mosa as K Saamny Boht Se Mojzay Pesh Kiye Thy, Magr Wo Haq Ki Tarf Na Aaya. Hazrat Mosa as Ne Subse Pehly “ASA” Ka Mojza Pesh Kia Tha. Jb Wo Phenka To Wo Saanp (Snake) Ban Gaya Or Phir Usne Boht Barry Azdaha Ki Shakal Akhtiar Kr Li.

Firon Ne Hazrat Moosa as Se Kaha K Khudara Isy Sambhalo, Hazrat Mosa as Ne Jb Usy Haath Lagaya To Wo Dobara “ASA” Ban Gae. Firon Ne Kaha K Hazrat Mosa as Jadogar He. Is Lye Usne Hazrat Mosa as K Muqably K Lye Mulk K Bary Bary Jadogaron Ko Bulaya.

Jb Jadogar Aae Unhon Jb Apni Rasiyan Phenki To Wo Saanp Ban Gaen. Ye Dekh Kr Hazrat Mosa as Ne Apni “ASA” Phenki. Wo Bara Azdha Ban Gae Or Jadogaron K Khayali Saanpon Ko Khaa Gaya. Jb Jadogaron Ne Ye Manzar Dekha To Wo Jan Gae K Hazrat Mosa as Jadogar Nai He.

Hazrat Mosa as Ne Dosra Mojza “YAD A BYZA” Ka Pesh Kia K Jb Wo Apna Hath Apni Jaib (POCKET) Me Dalty Or Bahir Nikalty To Wo Chand Ki Tarah Chamakny Lagta.

Hazrat Mosa as Ne Firon Se Kaha K Wo “Bani Israel” Ki Ghulami Khatam Kr K Unhen Misar (Country) Jany Ki Ijazat De. Magar Firon Ne Hazrat Mosa as Ka Ye Mutalba Man’ny Se Inkar Kr Dia.
Firon K Wazeer “Hamaan” Ne B Kaha K Bani Israel Ki Azadi Firon Or Usk Khandan K Lye Nuqsan Sabit Hogi.

Hazrat Mosa as Ne Tesra Mojza Ye Pesh Kia K “Darya_e_Neel” Me Apna ASA Mara To Usme Toofan Aa Gaya.Itna Bara Tofan Aaya K Jis Se Misar Ki Tamam Fasleen Tabah Ho Gaen. Or Tmam Sardaron K Makan Zameen Pr Gir Pary. Mojzay Ki Baat Ye Thi K Us Tofan Se Ghareebon K Makanon Ko Nuqsan Nai Punhcha.
Jb Firon Ne Ye Manzar Dekha To Hazrat Mosa as Se Kaha K Is Toofan Ko Rok Do, Me Bani Israel Ko Azad Kr Dounga. Jb Hazrat Mosa as Ne Phir Se Darya_e_Neel Me ASA Phenki To Wo Toofani Selab Ruk Gaya.
Seelab Ruk Gaya Or Halat Mamol Pr Aa Gae. Magar Firon Ne Apna Wada Pora Na Kia or Bani Israel Ko Azad Na Kia.

Is K Bad Hazrat Mosa as Ne 4tha Mojza Dikhaya. Hazrat Mosa as Ne ALLAH J.J Se Dua Ki. Or Firon Ki Qoum “JOOAIN” Musalat Kein. Jo Unk Kapron Or Saron Me Dakhil Hogaen Or Sara Din Unko Kat’tein Rahtien Jis Se Unka Chain OR Sukon Khatam Hogaya. Jooain Itni Hogaen K Unk Khany Or Pani Me B Shamil Hogaen Jis Se Unka Jeena Dushwar Ho gaya.
Firon Hazrat Mosa as K Pas Aaya Or Kaha K Is Azab Se Chutkara Dilwao Me Bani Israel Ko Azad Krta Hon.
Hazrat Mosa as Ne Dua Ki Azab Khatam Hogaya Magar Firon Ne Apna Wada Pora Na Kia.
(CONTINUE)

Wednesday 25 February 2015

Islamic Poetry In Urdu



SHIA POETRY
Khuda Ki Khas Atta Ko Hussain as Kehty Hen
Nabi Ki Pak Dua Ko Hussain as Kehty Hen
Zamany Bhar K Tabeebon Se Wasta Hi Nai
Hum Apny Ghum Ki Dawa Ko Hussain as Kehty Hen

Ajab Mazaq He Islam Ki Taqdeer K Sath
Qatal Shabeer as Hoe, Nara Takbeer K Sath

Hindo Poet Kishan Lal Says

Dekh Mandir Se Apni Masjid Ko, Sub Jamat Ne Hath Bandhy Hen
Jisne Zainab K Hath Bandhy Hen, Usk Qudrat Ne Hath Bandhy Hen.

Rubab Kehti Thi Jholy Me Dekh Kr Tewar
Ye Kamsani He To Inka Shabab Kia Hoga.

Behlol Nama

Kaha Behlol Se Ik Roz Haroon Ne
Meri Khatir Ye Dewangi Chor Dy
Shehr e Baghdad K Har Waseeh Chok Pr
Zikar e Olad e Aal e Nabi Chor Dy
Takht Le, Taaj Le, Bakht Le, Raaj Le
Aal E Imran as Ki Bandagi Chor Dy
Mujhse Beshak Wizarat Ki Kursi B Le
Par Ye Sadat Ki Nokri Chor Dy

Jawab e Behlol

Chor Dounga Me Shabir as Ki Nokri
Mere Andaz Ki Zindgi DhondH Dy
Hy Mera Kaam Janat Ka Ghar Bechna
Is Se Achi Koi Nokri DhondH Dy

Dunya Me Azadar Ki Pehchan H Matam
Munkir K Lye Jang Ka Elan H Matam
Es Khas Ibadat Ka Sila Deti He Syeda sa
Hum Krty Hen Matam To Dua Deti He Syeda sa

Zulam Beshak Mazed Ho Jae
Bacha Bacha Shaheed Ho Jae
Hum Hussaini Hen Hussaini Rahengy
Chahy Sari Dunya Yazeed Ho jae

Mujhko Yaqeen He Farash e Aza Ki Tarah Khuda
Mehshar K Baad Dega Sada, Matam e Hussain as
Ya Hussain as

Kam Zarf Ko Hum Log Mawali Nai Kehty
Haq Mangny Waly Ko Hum Sawali Nai Kehty
Hyder as K Mukhalif Ko Risalat Ki Zaban Me
Kuch Or To Kehty Hongy Magar Halali Nai Kehty

Hussain as Ne Majboor Kr Dia Warna
Tareekh Kisi Musafir Ki Kahani Nai Likhti

Aayat K Maana Me Hen Kitny Ikhtlaf
Ye Aaj Tak Na Koi Mufasir Bata Saka
AB Aaega Yaqeen K Kaafi Nai Kitaab?
Phir Bhi Tou Ahlbait as K Dar Pr Na Aa Saka

Khanjjar Talay Hussain as Ne Ajab Mojza Kia
Sheh Rag K Jo Qareeb Tha, Usy Bacha Lia.

Friday 13 February 2015

GHADEER



KHUM-E-GHADEER

Hijrat K 10ven Saal Peghamber e AKRAM savw  Jis Waqt “Hujat-ul-wida” Se Wapus Aa Rahy Thy To Zilhaj Maheeny Ki 18 Tareekh Ko Allah Pak Ne Rasool e AKRAM savw Ko Hukam Farmaya K

“A Rasool savw Jo Hukam Tumhen Tumhary Parwardigar Ne Dia He Usko Pora Kro, Wo Logon Tak Punhchao Or Agar Tum Ne Aisa Nai Kia To Samjho K Tum Ne Koi Pegham Nai Punhchaya, Allah Pak Tumhen Logon K Shar Se Mehfoz Rakhega.”

Us Waqt Rasool e AKRAM savw Ne Sub Musalamanon Ko Us Maqam Pr Rukny Ko Kaha. 100000 Ek Lakh Logon Ka Majma Mojod Tha. Wahan Kuch Onton Ki Cheezon Se Mimber Banaya Gaya, Jis Pe Charh Kar Rasool e AKRAM savw Ne Subse Pehly Apny Parwardigar Ki Hamd Or Tareef K Baad Apna Khutba Shroo Kia Or Subse Pehly Musalmano Se Ye Sawal Kia K

“A Insano, Tumse Koi Ek Aisa Shakhs He Jo Sub Momnin Se Aala Ho?”

Usy Ek Lakh Musalmanon K Majmy Me Sanata Chaa Gaya Or Kuch Dair Baad Unhon Ne Kaha K Hazoor savw Wo To Khuda OR Uska Rasool Hi Behtar Janta He. Us Waqt Rasool E AKRAM savw Ne Bhary Majmy Se Irshad Farmaya,

“Allah Pak Ne Mujhy Wilayat Atta Farmae He Or Mujhy Tamam Momnin K Nafsoon Se Zyada Tasaruf Ka Haq Hasil He.” Usk Baad Hazrat ALI as Ka Hath Pakar Kr Uska Hath Buland Kia.(Us Tarha 100000 Ek Lakh Musalmanon K Majmy Ne Rasool E Khuda savw Or Hazrat ALI as Ka Kandha, Kandhy Se Mila Howa Dekha.) Or Hazoor e AKRAM savw Ne Irshad Farmaya,

“Man Kunto Mola Fahaza Aliun Mola”

“Jis Jis Ka Me Mola Un Sub Logon Ka ALI as Mola Hen”

Is Tarha Ye Jumla Hazoor Pak savw Ne 3 Martba Subko Bataya.

(REF: Book AL-GHADEER , J 1, P 9-11)


Usk Baad Mazeed Rasool e AKRAM savw Ne Farmaya K,

“A Parwardigar! Tum Usko Dost Rakhna Jo ALI as Ko Dost Rakhy, Or Us Ko Dushman Rakhna Jo ALI as Ko Dushman Samjhy, Ya ALLAH! ALI as Ki Madad Farma or Us K Dushmanon Ko Zaleel Or Khuwar Kr Dy.”

(REF: BOOK AL-GHADEER, J 1, P 9-11)

Ye Wo Azmateen Hen Jo Hazrat ALI as Ki Zindagi K Pehly Marhaly Me Hasil Hoen Jinka Arsa 10 Das Saal He. Isi Tarha Hazrat ALI as Ki Baki Zindagi Ka Hisa Qurbanion Or Karnamon Se Bhara Howa He.

Jo Hazrat ALI as Ko Hazrat Muhammad Mustafa savw Ko Bad Apna Mola Samjhty Hen Wo Har Is Saal 18 Zilhaj Ko Is Din Apni Eid “Eid-e-Ghadeer” K Naam Se Manaty Hen.


Is Moqy Pe Kisi Shair e Ahlbait as Ne Hazrat ALI as K Chahny Walon Or Unk Dushmano K Lye Ik Boht Umda Jumla Apni Poetry Me Is Andaz Se Bayan Kia He.

>Ibtada-e-Imamat ALI as Ka Jo Ghulam Banta He.

> Qasam Se Arsh Pr Uska Kalam Banta He.

> Jisne B Chora Dar-e-Imamat Ka “Naz”.

> Donon Jahan Me Wo Badnaam Banta He.

(((((Khandan -e- ZAHRA sa Pe Buland Tar Salwat)))))