Wednesday 25 February 2015

Islamic Poetry In Urdu



SHIA POETRY
Khuda Ki Khas Atta Ko Hussain as Kehty Hen
Nabi Ki Pak Dua Ko Hussain as Kehty Hen
Zamany Bhar K Tabeebon Se Wasta Hi Nai
Hum Apny Ghum Ki Dawa Ko Hussain as Kehty Hen

Ajab Mazaq He Islam Ki Taqdeer K Sath
Qatal Shabeer as Hoe, Nara Takbeer K Sath

Hindo Poet Kishan Lal Says

Dekh Mandir Se Apni Masjid Ko, Sub Jamat Ne Hath Bandhy Hen
Jisne Zainab K Hath Bandhy Hen, Usk Qudrat Ne Hath Bandhy Hen.

Rubab Kehti Thi Jholy Me Dekh Kr Tewar
Ye Kamsani He To Inka Shabab Kia Hoga.

Behlol Nama

Kaha Behlol Se Ik Roz Haroon Ne
Meri Khatir Ye Dewangi Chor Dy
Shehr e Baghdad K Har Waseeh Chok Pr
Zikar e Olad e Aal e Nabi Chor Dy
Takht Le, Taaj Le, Bakht Le, Raaj Le
Aal E Imran as Ki Bandagi Chor Dy
Mujhse Beshak Wizarat Ki Kursi B Le
Par Ye Sadat Ki Nokri Chor Dy

Jawab e Behlol

Chor Dounga Me Shabir as Ki Nokri
Mere Andaz Ki Zindgi DhondH Dy
Hy Mera Kaam Janat Ka Ghar Bechna
Is Se Achi Koi Nokri DhondH Dy

Dunya Me Azadar Ki Pehchan H Matam
Munkir K Lye Jang Ka Elan H Matam
Es Khas Ibadat Ka Sila Deti He Syeda sa
Hum Krty Hen Matam To Dua Deti He Syeda sa

Zulam Beshak Mazed Ho Jae
Bacha Bacha Shaheed Ho Jae
Hum Hussaini Hen Hussaini Rahengy
Chahy Sari Dunya Yazeed Ho jae

Mujhko Yaqeen He Farash e Aza Ki Tarah Khuda
Mehshar K Baad Dega Sada, Matam e Hussain as
Ya Hussain as

Kam Zarf Ko Hum Log Mawali Nai Kehty
Haq Mangny Waly Ko Hum Sawali Nai Kehty
Hyder as K Mukhalif Ko Risalat Ki Zaban Me
Kuch Or To Kehty Hongy Magar Halali Nai Kehty

Hussain as Ne Majboor Kr Dia Warna
Tareekh Kisi Musafir Ki Kahani Nai Likhti

Aayat K Maana Me Hen Kitny Ikhtlaf
Ye Aaj Tak Na Koi Mufasir Bata Saka
AB Aaega Yaqeen K Kaafi Nai Kitaab?
Phir Bhi Tou Ahlbait as K Dar Pr Na Aa Saka

Khanjjar Talay Hussain as Ne Ajab Mojza Kia
Sheh Rag K Jo Qareeb Tha, Usy Bacha Lia.

No comments:

Post a Comment