Friday 13 February 2015

GHADEER



KHUM-E-GHADEER

Hijrat K 10ven Saal Peghamber e AKRAM savw  Jis Waqt “Hujat-ul-wida” Se Wapus Aa Rahy Thy To Zilhaj Maheeny Ki 18 Tareekh Ko Allah Pak Ne Rasool e AKRAM savw Ko Hukam Farmaya K

“A Rasool savw Jo Hukam Tumhen Tumhary Parwardigar Ne Dia He Usko Pora Kro, Wo Logon Tak Punhchao Or Agar Tum Ne Aisa Nai Kia To Samjho K Tum Ne Koi Pegham Nai Punhchaya, Allah Pak Tumhen Logon K Shar Se Mehfoz Rakhega.”

Us Waqt Rasool e AKRAM savw Ne Sub Musalamanon Ko Us Maqam Pr Rukny Ko Kaha. 100000 Ek Lakh Logon Ka Majma Mojod Tha. Wahan Kuch Onton Ki Cheezon Se Mimber Banaya Gaya, Jis Pe Charh Kar Rasool e AKRAM savw Ne Subse Pehly Apny Parwardigar Ki Hamd Or Tareef K Baad Apna Khutba Shroo Kia Or Subse Pehly Musalmano Se Ye Sawal Kia K

“A Insano, Tumse Koi Ek Aisa Shakhs He Jo Sub Momnin Se Aala Ho?”

Usy Ek Lakh Musalmanon K Majmy Me Sanata Chaa Gaya Or Kuch Dair Baad Unhon Ne Kaha K Hazoor savw Wo To Khuda OR Uska Rasool Hi Behtar Janta He. Us Waqt Rasool E AKRAM savw Ne Bhary Majmy Se Irshad Farmaya,

“Allah Pak Ne Mujhy Wilayat Atta Farmae He Or Mujhy Tamam Momnin K Nafsoon Se Zyada Tasaruf Ka Haq Hasil He.” Usk Baad Hazrat ALI as Ka Hath Pakar Kr Uska Hath Buland Kia.(Us Tarha 100000 Ek Lakh Musalmanon K Majmy Ne Rasool E Khuda savw Or Hazrat ALI as Ka Kandha, Kandhy Se Mila Howa Dekha.) Or Hazoor e AKRAM savw Ne Irshad Farmaya,

“Man Kunto Mola Fahaza Aliun Mola”

“Jis Jis Ka Me Mola Un Sub Logon Ka ALI as Mola Hen”

Is Tarha Ye Jumla Hazoor Pak savw Ne 3 Martba Subko Bataya.

(REF: Book AL-GHADEER , J 1, P 9-11)


Usk Baad Mazeed Rasool e AKRAM savw Ne Farmaya K,

“A Parwardigar! Tum Usko Dost Rakhna Jo ALI as Ko Dost Rakhy, Or Us Ko Dushman Rakhna Jo ALI as Ko Dushman Samjhy, Ya ALLAH! ALI as Ki Madad Farma or Us K Dushmanon Ko Zaleel Or Khuwar Kr Dy.”

(REF: BOOK AL-GHADEER, J 1, P 9-11)

Ye Wo Azmateen Hen Jo Hazrat ALI as Ki Zindagi K Pehly Marhaly Me Hasil Hoen Jinka Arsa 10 Das Saal He. Isi Tarha Hazrat ALI as Ki Baki Zindagi Ka Hisa Qurbanion Or Karnamon Se Bhara Howa He.

Jo Hazrat ALI as Ko Hazrat Muhammad Mustafa savw Ko Bad Apna Mola Samjhty Hen Wo Har Is Saal 18 Zilhaj Ko Is Din Apni Eid “Eid-e-Ghadeer” K Naam Se Manaty Hen.


Is Moqy Pe Kisi Shair e Ahlbait as Ne Hazrat ALI as K Chahny Walon Or Unk Dushmano K Lye Ik Boht Umda Jumla Apni Poetry Me Is Andaz Se Bayan Kia He.

>Ibtada-e-Imamat ALI as Ka Jo Ghulam Banta He.

> Qasam Se Arsh Pr Uska Kalam Banta He.

> Jisne B Chora Dar-e-Imamat Ka “Naz”.

> Donon Jahan Me Wo Badnaam Banta He.

(((((Khandan -e- ZAHRA sa Pe Buland Tar Salwat)))))

No comments:

Post a Comment