Thursday 29 January 2015

HazraT Ali as Ki Fazelat Hazor Pak savw Ki Baasat Se Hijrat Tak



HazraT Ali as Ki Fazelat Hazor Pak savw Ki Baasat Se Hijrat Tak
Hazrat Ali as Ki Subse Pehli  Fazelat Ye He K Ap Ne Subse Pehly Deen e Islam Ka Izhar Kia. Par Haqeqat Is Trha Byan Kren K Ap ne Apny Purani Deen Ko Zahir Kia.
Deen e Islam K Izhar Me Pahal Wo Topic He Jiska Quran Majeed Me B Zikar He.
Tarjma: “ Or Aagy Phir Aagy Wohi Log Hen Jo Muqarab Log Hen.”
((Ref: Sore Waqea Ayat 10,11))
Sirf Ye Nai Pr Jin Logon Ne Makky Ki Fatah Se Pehly Deen e Islam Qabool Kia Or Raah e Khuda Me Apna Maal Or Jaan Ki Qurbani Di Un Logon Ko Un Logon Pe B Bartari He Jinhon Ne Makky Ki Fatah K Baad Eman Lae Or Jihad Kia.
Us Dour Me Us Aadmi Ki Azmat Ka Andaza Lagaya Ja Sakta He K Jo Subse Pehly Deen e Islam Se Sharfyab Hoe Or Us Waqt Eman Laae Jb Hr Tarf Islam K Dushmano Ki Taqat Ka Dour Chal Raha Tha.
Deen e Islam Qabol Krny Me Hazrat Ali as Ne Sub Pr Bartari Hasil Ki Is Fazelat Ka Shumar Subse Bari Fazelaton Me Hota He.
Boht Se Morkhen Ne Us Bat Pe Itfaq Kia He K Hazrat Muhammad Mustfa savw  Pr Pehli “WAHI”  Peer (Monday) Ki Din Nazil Hoe Thi Or Usk 2sry Din Hazrat Ali as Eman Lae.
(Ref: Seerat Ibn Hasham> J1 P246   Kashaf Al Ghama >J1 P113,    Tibri >J2 P310,  Sanan Ibn Maaja> J1 P57)
Hazrat Ali as Ne Deen e Islam Qabool Krny Me Jo Bartari Hasil Hoe Uski Wazahat Krty Hoe Hazrat Muhammad Mustfa savw Ne Sahaba K Aam Majmay Me Farmaya;
“Qayamat K Din Hoz e Kosar Pe Mere Sath Subse Pehly Wohi Shaks Mulaqat Krega Jisne Deen E Islam Qabol Krny Me Pahal Ki Or Wo “Ali ibn Abi Talib He.”
(Ref: Mustadrik Hakim >J3 P136, Kashf al Ghama >J1 P105,  Sharha ibn Abi Al Hadeed> J3 P385, mazeed Malomat K Lye AL-GADEER >J3 P220)
Hazrat Ali as Ne Khud Is Bat Ki Wazahat 2 Mukhtalif Waqeon Pe Ki He.
(Ref: Nahjul Balagha 192)
“Us Din Jis Din Islam Kisi K Ghar Tak Nai Punhcha Tha Or Sirf  Peghamber e Akram savw or Bibi Khadeja sa Us Deen Se Musharaf Hoe Thy Or Me 3sra Shaks Tha. Me Noor e Risalat savw Ko Dekhta Tha Or Nabowat Ki Khushboo Mehsos Krta Tha.”
2sri Jaga Pe Farmaya
(Ref: Nahjul Balagha >Khutba 131)
“Parwardigar Me Wo Pehla Shaks Tha Jisne Tumhari Tarf Wapus Aany Ka Pegham Suna, (Tumhary Peghamber Ki Dawat Ka) Jawab Dia.”

(Ala Huma Sale Ala Muhammad Un W Aal e Muhmmad)

No comments:

Post a Comment