Friday 30 January 2015

Rasool E Khuda savw Ki Hijrat Or Hazrat ALI as Ki Qurbani

Rasool E Khuda savw Ki Hijrat Or Hazrat ALI as Ki Qurbani
Us Raat Ko Hijrat Ki Raat Bolty Hen Jis Raat Hazrat ALI as Hazrat Muhammad Mustfa savw K Bistry Pe So Gae Or Hazor e Akram savw Hijrat Kr k Makky Se Madeeny Tashreef Le Aae Thy. Ye Mola ALI as Ki Fazelaton Me Se Ik Aisi Fazelat He Jisy Hum Qurbani B Keh Sakty Hen.Or Sub Tareekhdanon Ne B Es Waqeye Ko Bayan Kia He.Ahl e Quresh K 40 Bahadur Us Raat Rasool e Khuda savw Ko Qatal Krny K Irady Se Aae Thy Us Maqsad K Lye Rasool e Khuda K Ghar Ka Gheera Tha. Us Raat Mola ALI as Apni Jan Ki Bazi Laga Kr Rasool e Khuda savw K  Bistar Pe So gae Ta K Aap savw Pr Aany Wala Hr Khatra  Apny Aap Pr Le Saky.

Wo Qurbani Itni Ahm Or Fazelat K Qabil H K Boht C Riwayat Se Malom Hota He

(Ref: Tafseer Burhan J1 P206,  Tafseer ul Mezan J2 P99, Bihar J19 P56,78,87)
Allah Pak Ne Is Moqy Pe Ye Ayat Nazil Ki.

(Ref: Sore AL Baqra 207

Tarjuma:" Or Kuch Insano Me Se Kuch Aisy Log B Hen Jo Khuda ki Khushnodi Hasil Krny K Lye Apni Jaan B Bech Dety Hen Or Allah Aisy Bandon Pe Zayada Mehrban He."

No comments:

Post a Comment