Saturday 31 January 2015

Islamic Poetry



ISLAMIC POETRY
Quran K Warison Ki Ye Pehchan Ban Gae
Nikli Jo Baat Munh Se Wo Quran Ban Gae
Hukam e Khuda J.J Se Chome Qadam Syeda sa K Jab
Banjar Zameen Arab Ki Gulistan Ban Gae
Chashm e Falak Gawah He Waqt e Mubahila
Syed sa Lab e Rasool Ki Muskan Ban Gae
Farsh e Gham e Hussain as Ki Taseer Dekhye
Syeda sa Ghareeb Khany Pe Mehmaan Ban Gae
Utri Thi Jo Kitab Khuda J.J K Rasool savw Pe
Syeda sa Usi Kitab Ki Unwan Ban Gae.
Hon Azadar Faqat Ye Hi Bharam Rakhta Hon
Yani SYEDA sa Ka Boht Khas Karam Rakhta Hon
Me Bhi Kar Sakta Hon Mousa as K Assa Waly Kaam
Me Bhi To Hath Me GHAZI as Ka Alam Rakhta Hon
Han Mujhe Haq He Zamany Ko Shifa’en Banton
Me Bhi Hon Khaak Magar Khaak e Haram Rakhta Hon
Sar Jhuka Kar Dar e MOULA as Pe Sunany K Lye
Apne Deewan Me Ek Me Bhi Nazam Rakhta Hon
Kese Mumkin He Lahad Me Ho Andhera Meri
Pusht Pe Matam e SARWAR (salwat) K Zakham Rakhta Hon
Mujhko “Nasir” Ki Dua He K Har Ek Mehfil Mein
Har Muqasir Ki Me Gardan Pe Qadam Rakhta Hon
Madh e MOLA (salwat) Me Kahon Shair Me Kese Hyder?
Na Hi Daabal Na Farazduq Sa Kalam Rakhta Hon.

No comments:

Post a Comment