Thursday 5 February 2015

HAZRAT ALI AS JANG_E_UHD ME



HAZRAT ALI AS JANG_E_UHD ME
Jang e Uhd Me Hazrat ALI as K Kirdar Ka Jaeza 2 Marahil Yani Musalmano Ki Fatih Or Shikast K Pas e Manzar Me Kia Ja Sakta He.

FATIH OR KAMYABIUON KA SILSILA: Is Marhaly Me Lashkar e Islam Ki Kamyabi Or Mushirkon Ki Shikast Hazrat ALI as K Hathon Hoe.Quresh K Lashkar Ka Pehla Jhanda Uthany Wala Talha Ibn Abi Talha Jb Hazrat ALI as K Hamly Ka Ghao Bardasht Na Kr Saka or Zamen Pr Gir Para To Usk Bad Dosry Logon Ne Jb  Parcham Uthaya Pr Wo B Hazrat ALI as Ki Talwar Se Maary Gae Or Quresh K Lashkar Ko Bhagny K Siwa Or Koi Raah Nai Thi.

(REF: Bihar J20 P50,51 Al-Sahi Min Seerat Al-Nabi J4 P313)

SHIKAST KA MARHALA: Jang e Uhd Me Jb Kitny Hi Kamandron Ne Rasool e Khuda savw K Hukam Ki Na  Farmani Ki or Apni Jaga Se Hat Gae  Us Waqt  Khalid Bin Waleed Apny Ghory Sawar Lashkar K Sath Jb Us Pahar Ka Chakar Laga K Us Raasty Se Musalmano Pe Ik Dam Hamla Kr Dia Kyn K Ye Hamla Achank Howa To 70 Musalmano Ko Shahadat Naseeb Hoe Or Kuch Bhag Gae.

Us Marhaly Me Hazrat ALI as Ka Ahm Kirdar Ye Tha K Ap Hazrat Muhammad Mustfa savw Ki Hifazat Or Nighbani K Faraez Anjam Dy Rahy Thy.Us Waqt Dosry Log Bhagny Lagy Jb K Hazrat ALI as Dushman Ko Hazor e Akram savw Ki Tarf Aany Se Rok Rahy Thy Jo Dushman Qareeb Ata Hazrat ALI as Usko Mot Tak Punhchaty.

Ameer ul Momnin Hazrat ALI as Ki Ye Qurbani Itni Ahm Or Azmat K Laeq Thi K Hazrat Jibrael Ne Hazoor Pak savw Ko Is ki Mubarak Di Or Is  Lye Hazoor Pak savw Ne Ye Farmaya,
“ALI Mujhse He Or Me ALI Se Hon”

Us Qurbani Ki Qadar Or Azmat Ki Nazar Se Dekha Or Jb Ghaib Se Awaz Aya,
“La Seef Ila Zulfiqar Wala Fata Ila Ali as”
Dosron Ko B Hazrat ALI as Ki Qurbani Ka Andaza Hogaya.

(REF: Tibri J2,P514, Kamil Ibn Taseer J2 P154, Sharh ibn Abi AL Hadeed J14 P250)

Hazrat ALI as Ne Hazoor Pak savw Ki Hifazat K Waqt Aisy Jam K Dushmanon Ka Muqabila Kia K Ap Ki Talwar B Toot Gae. Us Waqt Hazoor Pak savw Ne Apni Talwar Jiska Naam “ZULFIQAR” Tha Hazrat ALI as Ko Ata Ki Or Hazrat ALI as Ne Us Talwar se Allah K Jihad Ko Jari Rakha.

(REF: Bihar J20 P54 ALI ibn Ibrahim Ki Tafseer Se Lia Gaya He.)

3 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. One of the best sayings about Imam Ali (A.S): The man of knowledge is the one who recognizes that what is known is very little compared to what is not known, and as a result he considers himself ignorant, and accordingly he increases his efforts to know more by going out in search of knowledge.
    source: <a href="One of the best sayings about Imam Ali (A.S): The man of knowledge is the one who recognizes that what is known is very little compared to what is not known, and as a result he considers himself ignorant, and accordingly he increases his efforts to know more by going out in search of knowledge.
    source: https://imaamali.weebly.com

    ReplyDelete
  3. Bai zulfiqar pehly Abu Dajana ko ataa ki gaye thi....wahi Abu dujana ansari jo jang yamama main uss waqt shaheed howy jab musalma je foj ne aak saht hamla kia aur noaw muslim bagny lagy...khalid ne aap ko aur chand aur suhaba ko awaaz dety howy kaha....foj ki moraal buland karo.....unko wapas bulawo apny bahaduri se.....yahi sun na tha ke Abu Dujana aur deger suhaba ne musylma ki foj ko pechy dehkel diya.. jab naw muslim ne musalman suhaba ka jawabi hemla dekaa tho wapas howy...issi dowran Abu Dujana shaheed hogaye....
    Jang Uhad ke baad Aap s.a.w ne Ali se fermaya ke aaj tho Abu dujana sab se zyada bahaduri se lary....

    رضیاللہ عنہ

    ReplyDelete