Friday 6 February 2015

Jang E Khandaq Me Hazrat Ali As Ka Kirdar



Jang E Khandaq Me Hazrat Ali As Ka Kirdar
Jang e Khandaq Us Jang Ko Kaha Jata He Jisme Madeeny K Kuch Atraf Se Khandaq Khodi Gae Khandaq Ka Matlb He (Khahi).
Mukhtalif Lashkaron K Das Hazar 10,000 Sipahi Taqreban Ek Maah Tak Madeeny Munwara Ka Gheerao Jari Rakha. Itna Waqt Guzarny K Bad Un Dushmano Ko Or Koi Rasta Na Mila To Aakhir Unhon Ne Apny Mazbot Or Taqatwar Lashkar Ko Khandaq Paar Karany K Faisla Kia. Us Faisly K Bad Arab K Namwar Pehlwan “Umro Bin Abdowad” Apny Sath 5000 Sipahi Lye Or Khandaq Paar Kr K Musalmanon Ko Lalkara.
Musalmano K Lashkar Me Sirf Hazrat ALI as Ne Uski Dawat E Jang Ko Qabool Kia Or Unk Naaron Ka Jawab Deny K Lye Aagy Barhy. Is Umro Bin Abdowad Taqtwar Pehlwan Ko 1000 Sipahion K Barbar Samjha Jata Tha. Hazrat ALI as Ki Talwar K War Se Zameen Pr Gir Para. Umro Ki Ye Halat Dekh Kr Usk Sipahi Bhag Gae Sirf “Nofil” Hi Khara Raha Magar Umro Ki Tarha Hazrat ALI as Ne Nofil Ko B Ik Hi War Me Mot K Ghat Utar Dia. Umro Bin Abdowad K Maary Jany K Bad Dushmano K Lashkar Me Sanata Cha Gaya Or Hr Kisi Ko Bhagny Ki Fikar Par Gae.
Is Jang Me Hazrat ALI as Ne Jo Bahaduri Dikhae Uski Qadar o Qemat Kia Thi? Us Bary Me Hum Hazoor E Pak savw K Kuch Aqwalon Se Samjh Sakty Hen Jo Hazrat Muhammad Mustafa savw Ne Is Jang Me 3 Mukhtalif Maqamat Pr Ada Kiye.
Jb Hazrat ALI as Medan Jang Me Larny K Lye Tayar Hoe Ap savw Ne Farmaya,
“Khudaya! Jang e Badar K Din Ubeeda or Jang e Uhd K Din Tum Ne Hamza Ko Mujhse Juda Kiye Or Ab ALI Ko Tum Har Takleef Se Mehfoz Rakhna.”
Jb Hazrat ALI as Ka Muqabla Umro Se Huwa To Hazoor E Pak savw Ne Farmaya,
“Eman Or Shirk K Do Kamil E Mazhar Ek Dosry K Muqabily Me Hen.”
Jb Hazrat ALI as Medan e Jang Se Fatahyab Loty To Ap Savw Ne Farmaya,
“Aaj Tumhary Amal Ko Umat e Muhammadi K Sub Pasandeda Amalon Se Muqabila Kia Jae To Tumhara Ye Amal Subse Aala He.”
(Ref: Bihar J20 P205)

No comments:

Post a Comment