Saturday 7 February 2015

“SHER E KHUDA HAZRAT ALI AS FATIH E KHYBER”



“SHER E KHUDA HAZRAT ALI AS FATIH E KHYBER”

Peghamber E Akram savw Yahodion K Markaz Khyber Ka Muhasra Kia To Shro K Dinon Me Hazrat ALI as Ankhon Ki Takleef Ki Wajah Se Shareek Na Ho Sakay Is Lye Rasool e Khuda savw Ne Islam Ka Jhanda Do Musalmano Ko Dia Magar Dono Baghair Kamyabi K Ik Dosry K Pechy Medan Chor K Wapus Aa Gae Thy.

Ye Manzir Dekh K Peghamber e Akram savw Ne Irshad Farmaya, “Ye Jhanda Unka Haq Na Tha Hazrat ALI as Ko Pukara”. Arz Kia Gaya K Hazoor Unko Aankhon Me Dard He Ap savw Ne Farmaya,

“ALI as Ko Bulao Wohi Ik Shaks He Jo Khuda Or Usk Rasool savw Ko Payara He Or Wo B Khuda Or Usk Rasool K Sath Payar Rakhta He.” (Ref: Irshad Mufeed 66)
Jb Hazrat ALI as Peghamber e Akram savw Ki Khidmat Me Hazir Hoe To Rasool e Khuda savw ne Dua Ki Or Apny Zaban Ka Pani Hazrat ALI as Ki Aankhon Pe Lagaya Jiski Wajah Se Unki Aankhon Ka Dard Khatam Hogaya. Usk Bad Hazrat ALI as Ne Islam Ka Jhanda Hath Me Liya Or Medan Ki Tarf Rawana Hoe.

Yahodion K Bahadur Pehlwan Apni Qily Se Bahir Aa Gae, Marhab K Bhae Haris Nara Lagaty Hoe Hazrat ALI as Ki Tarf Barhy Pr Thori Hi Dair Me Uska Zakhmi Badan Mati Pe Tarpny Laga. Marhab Apni Bhae Ki Mot Pe Ghamzada Hogaya Or Intqam Lene K Lye Hazrat ALI as Ki Tarf Aaya. Pehly To In Dono K Darmiyan Kuch Dair Bahs Chali Phir Aankh Jhapak Me islam K Janbaz Hazrat ALI as Ne Usk Sar Pe War Kr K Usko Matti Pe Dhair Kr Dia. Jb Yahodion K Dosry Pehlwanon Ne Ye Manzar Dekha To Wo Apny Qily Me Bhaag Gae Or Apny Qily Ka Darwaza Band Kr Dia.Hazrat ALI as Ne Unka Pecha Kia Or Jab Qily Ka Darwaza Band Dekha To Wo Darwaza Jo 20 Beis Aadmi Mil Kr Us Darwazy Ko Band Krty Thy Khuda Ki Qudrat Se Usy Qily Ki Dewar Se Ukhar Kr Yahodion Ki Khandaq Pe Gira Dia Ta K Islam K Sipahi Usy Paar Kr K Fasad Or Khatry K Aakhiri Markaz Ko Khatam Kr Saken.

(Ref:  Irshad Mufeed 67 ,Bihar J21 P14-16)

Jang e Khyber Me Jesa K Musalmanon Ko Hazrat ALI as Ki Bahaduri or Qurbani K Zareye Fatah Naseeb Hoe Is Lye Hazrat ALI as Ko “Fatih e Khyber” K Laqab Se Yad Kia Jata He.

8 comments:

  1. SHERE KHUDA HAQ ALI MOULA ALI

    ReplyDelete
  2. Bilkul mgr bht mazrat k sath ahl e tashee is waqey me ye kahty hyn k rasool e khuda ne Ali a.s se madad mangy k Ali mery madad kr. Jb k haqeeqat ye hy k ye Fatah chunky Ali.as ka naseeb thy to Ap sala laho aleh hy wasalm ne in ko talab farma k hukam dia tha

    ReplyDelete